Yu to hazaaro baatein hai tumse kerne ko..
Par bas kehne ko kuch nahi hai..
Aisa ni ki baateon melafz nahi hai..
Bas lagta hai unn baaton ko lafzoon me dhalna zaruri nahi hai..
Kehne ko hazaaro ehsaas hai jo baatane hai..
Par bas ehsaas ka lafz banna, ehsaas ki taseer nahi hai..
Yun to bhot kuch shor sa macha hai yaha..
Par us shor me inn thehre sannaton ki gunj nahi hai..
sukoon nahi hai...
Time: 1:30 A.M(last night)

No comments:
Post a Comment